mor nach
dekhte dekhte
us ke chāroñ taraf
saat rañgoñ kā resham bikharne lagā
dhīme dhīme ka.ī khiḌkiyāñ sī khulīñ
faḌfaḌātī huī fāḳhtā.eñ uḌiiñ
badliyāñ chhā ga.iiñ
bijliyoñ kī lakīreñ chamakne lagīñ
saarī banjar zamīneñ harī ho ga.iiñ
nāchte nāchte
mor kī aañkh se
pahlā aañsū girā
ḳhūbsūrat sajīle paroñ kī dhanak
TuuT kar TukḌā TukḌā bikharne lagī
phir fazāoñ se jañgal barasne lagā
dekhte dekhte.....
dekhte dekhte
us ke chaaron taraf
sat rangon ka resham bikharne laga
dhime dhime kai khiDkiyan si khulin
faDfaDati hui faKHtaen uDin
badliyan chha gain
bijliyon ki lakiren chamakne lagin
sari banjar zaminen hari ho gain
nachte nachte
mor ki aankh se
pahla aansu gira
KHubsurat sajile paron ki dhanak
TuT kar TukDa TukDa bikharne lagi
phir fazaon se jangal barasne laga
dekhte dekhte
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.