mori arj suno
Interesting Fact
(Dedicated to Amir Khusrau)
morī arj suno dast-gīr piir
maa.ī rī kahūñ kaase maiñ
apne jiyā kī piir
nayyā bāñdho re
bāñdho re kanār-e-dariyā
more mandir ab kyuuñ nahīñ aa.e
is sūrat se
arz sunāte
dard batāte
nayyā khete
minnat karte
rasta takte
kitnī sadiyāñ biit ga.ī haiñ
ab jā kar ye bhed khulā hai
jis ko tum ne arz guzārī
jo thā haath pakaḌne vaalā
jis jā laagī naav tumhārī
jis se dukh kā daarū māñgā
tore mandir meñ jo nahīñ aayā
vo to tumhīñ the
vo to tumhīñ the
mori arj suno dast-gir pir
mai ri kahun kase main
apne jiya ki pir
nayya bandho re
bandho re kanar-e-dariya
more mandir ab kyun nahin aae
is surat se
arz sunate
dard batate
nayya khete
minnat karte
rasta takte
kitni sadiyan bit gai hain
ab ja kar ye bhed khula hai
jis ko tum ne arz guzari
jo tha hath pakaDne wala
jis ja lagi naw tumhaari
jis se dukh ka daru manga
tore mandir mein jo nahin aaya
wo to tumhin the
wo to tumhin the
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 545)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.