aisa kyun hota hai
maiñ aksar sochtā huuñ
aisā kyuuñ hotā hai
aulādoñ ko
apne baap maa.eñ yaad aatī haiñ
to āñkhoñ meñ
faqat maañ baap ke
būḌhe sarāpe hī
ubharte Dūbte aur jhilmilāte haiñ
maiñ aksar sochtā huuñ
aisā kyuuñ hotā hai
mamtā se bharrā.ī
maañ baap kī āñkhoñ meñ
aulādeñ kabhī būḌhī nahīñ hotīñ
main aksar sochta hun
aisa kyun hota hai
auladon ko
apne bap maen yaad aati hain
to aankhon mein
faqat man bap ke
buDhe sarape hi
ubharte Dubte aur jhilmilate hain
main aksar sochta hun
aisa kyun hota hai
mamta se bharrai
man bap ki aankhon mein
auladen kabhi buDhi nahin hotin
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 160)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.