Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umid

MORE BYSahir Ludhianvi

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    un kaalī sadiyoñ ke sar se jab raat āñchal Dhalkegā

    jab dukh ke bādal pighleñge jab sukh sāgar chhalkegā

    jab ambar jhuum ke nāchegā jab dhartī naġhme gā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    jis sub.h ḳhātir jug jug se ham sab marmar ke jiite haiñ

    jis sub.h ke amrit dhun meñ ham zahr ke pyāle piite haiñ

    in bhūkī pyāsī rūhoñ par ik din to karam farmā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    maanā ki abhī tere mere armānoñ qīmat kuchh bhī nahīñ

    miTTī bhī hai kuchh mol magar insānoñ qīmat kuchh bhī nahīñ

    insānoñ izzat jab jhūTe sikkoñ meñ na tolī jā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    daulat ke liye jab aurat ismat ko na bechā jā.egā

    chāhat ko na kuchlā jā.egā ġhairat ko na bechā jā.egā

    apne kaale kartūtoñ par jab ye duniyā sharmā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    bīteñge kabhī to din āḳhir ye bhuuk ke aur bekārī ke

    TūTeñge kabhī to but āḳhir daulat ijāra-dārī ke

    jab ek anokhī duniyā buniyād uThā.e jā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    majbūr buḌhāpā jab suunī rāhoñ dhuul na phāñkegā

    ma.asūm laḌakpan jab gandī galiyoñ meñ bhiik na māñgegā

    haq māñgne vāloñ ko jis din suulī na dikhā.ī jā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    fāqoñ chitāoñ par jis din insāñ na jalā.e jā.eñge

    siine ke dahakte dozaḳh meñ armāñ na jalā.e jā.eñge

    ye narak se bhī gandī duniyā jab sovarg batā.ī jā.egī

    vo sub.h kabhī to aa.egī

    wo subh kabhi to aaegi

    un kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal Dhalkega

    jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh sagar chhalkega

    jab ambar jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    jis subh ki KHatir jug jug se hum sab marmar ke jite hain

    jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain

    in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin

    miTTi ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin

    insanon ki izzat jab jhuTe sikkon mein na toli jaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega

    chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega

    apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    bitenge kabhi to din aaKHir ye bhuk ke aur bekari ke

    TuTenge kabhi to but aaKHir daulat ki ijara-dari ke

    jab ek anokhi duniya ki buniyaad uThae jaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    majbur buDhapa jab suni rahon ki dhul na phankega

    masum laDakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega

    haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge

    sine ke dahakte dozaKH mein arman na jalae jaenge

    ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg batai jaegi

    wo subh kabhi to aaegi

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now