motor-dealer
un kī kanpaTiyoñ ke nīche
kaalī lambī qalmeñ
un ke ruḳhsāroñ ke bhare bhare bharpūr gudūdoñ tak thīñ,
thoḌe thoḌe vaqfoñ se vo zard gilāsoñ ko hoñToñ se alag karte..... aur
phir dhīmī dhīmī bāteñ karte apnī na.ī na.ī un dāshtāoñ kī
jin ke naam aur jin ke nirḳh us din hī aḳhbāroñ meñ chhape the
un ki kanpaTiyon ke niche
kali lambi qalmen
un ke ruKHsaron ke bhare bhare bharpur gududon tak thin,
thoDe thoDe waqfon se wo zard gilason ko honTon se alag karte aur
phir dhimi dhimi baaten karte apni nai nai un dashtaon ki
jin ke nam aur jin ke nirKH us din hi aKHbaron mein chhape the
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 122)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.