motor-rickshaw
baiTh kar ek baar rikshe meñ
phir na baiThegā yaar rikshe meñ
āj-kal ho rahā hai zoroñ par
husn kā kārobār rikshe meñ
de hasīnoñ ko car se tashbīh
kar hamārā shumār rikshe meñ
aa rahā hai mushā.ere ke liye
shā.er-e-nām-dār rikshe meñ
hai jahāñ do kā baiThnā mushkil
ye biThāte haiñ chaar rikshe meñ
shāh-rāhoñ pe roz hote haiñ
hādse be-shumār rikshe meñ
baiTh kar ek bar rikshe mein
phir na baiThega yar rikshe mein
aaj-kal ho raha hai zoron par
husn ka karobar rikshe mein
de hasinon ko car se tashbih
kar hamara shumar rikshe mein
aa raha hai mushaere ke liye
shaer-e-nam-dar rikshe mein
hai jahan do ka baiThna mushkil
ye biThate hain chaar rikshe mein
shah-rahon pe roz hote hain
hadse be-shumar rikshe mein
- Book : Dish antenna (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.