Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

motor

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    tez havā se bāteñ kartī

    dauḌtī aur farrāTe bhartī

    motor aa.ī ḳhaak uḌātī

    puuñ puuñ kartī shor machātī

    chaal meñ tezī aisī balā

    dekh ke mat kaT jaa.e havā

    kaisī der kahāñ sustī

    pal meñ aa.ī aur ga.ī bhī

    raat ko aa.e din ko aa.e

    chalne se na kabhī ghabrā.e

    aglī seat pe baiThā shofar

    sāhab baiThe kuud ke andar

    shofar ne bhoñpū ko bajāyā

    phir do ik purzoñ ko hilāyā

    chābī pherī jaldī jaldī

    dhak dhak kartī motor chal

    maiñ batlā.ūñ motor kyā hai

    chaltā phirtā ik kamrā hai

    us ke paañv rabaḌ ke pahiye

    chalne meñ bas āñdhī kahiye

    kal ghoḌā is meñ jutā hai

    purza purza ḳhuub banā hai

    paanī aur petrol pilāo

    chāhe jahāñ is ko le jaao

    is ke sivā kuchh aur na khaa.e

    daane ghaas ke paas na jaa.e

    bahlī yakka bagghī Tum Tum

    tezī meñ haiñ is se sab kam

    kyā kahnā terā kārī-gar

    ḳhuub banā.ī ne motor

    tez hawa se baaten karti

    dauDti aur farraTe bharti

    motor aai KHak uDati

    pun pun karti shor machati

    chaal mein tezi aisi bala ki

    dekh ke mat kaT jae hawa ki

    kaisi der kahan ki susti

    pal mein aai aur gai bhi

    raat ko aae din ko aae

    chalne se na kabhi ghabrae

    agli seat pe baiTha shofar

    sahab baiThe kud ke andar

    shofar ne bhonpu ko bajaya

    phir do ek purzon ko hilaya

    chabi pheri jaldi jaldi

    dhak dhak karti motor chal di

    main batlaun motor kya hai

    chalta phirta ek kamra hai

    us ke panw rabaD ke pahiye

    chalne mein bas aandhi kahiye

    kal ka ghoDa is mein juta hai

    purza purza KHub bana hai

    pani aur petrol pilao

    chahe jahan is ko le jao

    is ke siwa kuchh aur na khae

    dane ghas ke pas na jae

    bahli yakka bagghi Tum Tum

    tezi mein hain is se sab kam

    kya kahna tera kari-gar

    KHub banai tu ne motor

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now