muamma
ham donoñ jo harf the
ham ik roz mile
ik lafz banā
aur ham ne ik ma.anī paa.e
phir jaane kyā ham par guzrī
aur ab yuuñ hai
tum ab harf ho
ik ḳhāne meñ
meñ ik harf huuñ
ik ḳhāne meñ
biich meñ
kitne lamhoñ ke ḳhāne ḳhālī haiñ
phir se koī lafz bane
aur ham donoñ ik ma.anī paa.eñ
aisā ho saktā hai
lekin sochnā hogā
in ḳhālī ḳhānoñ meñ ham ko bharnā kyā hai
hum donon jo harf the
hum ek roz mile
ek lafz bana
aur hum ne ek mani pae
phir jaane kya hum par guzri
aur ab yun hai
tum ab harf ho
ek KHane mein
mein ek harf hun
ek KHane mein
bich mein
kitne lamhon ke KHane KHali hain
phir se koi lafz bane
aur hum donon ek mani paen
aisa ho sakta hai
lekin sochna hoga
in KHali KHanon mein hum ko bharna kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.