mubarak ho
āchānak
ḳhud meñ ye kaisī tabdīliyāñ mahsūs kar rahā huuñ maiñ
mere baal darāz aur ghane ho ga.e haiñ
maiñ ab do choTiyāñ bāñdhne lagā huuñ
merī āñkheñ pahle se ziyāda maḳhmūr ho ga.ī haiñ
vo ab dekhne ke bajā.e ziyāda rone lagī haiñ
mere hoñT kohre kī ThanD kī tarah safed paḌ ga.e haiñ
vo ab bolne ke bajā.e ziyāda kapkapāne lage haiñ
merā siina pahle sapāT thā
ab is par do uThāneñ uTh aa.ī haiñ
duudh sī koī shai is meñ ThāTheñ mārne lagī hai
maiñ pahle qamīs aur painT pahantā thā
ab maiñ shalvār aur jampar pahanñe lagā huuñ
lagtā hai abhī gyārah september hī ko maiñ
ġhusl-e-janābat se fāriġh huā huuñ
āchānak
achānak ḳhud meñ ye kaisī tabdīliyāñ
mahsūs kar rahā huuñ maiñ
abhī abhī thoḌī der pahle mujhe ek zabardast qai huī thī
daa.ī aa.ī thī
us ne merā jampar utaar ke merī kokh ke
merī kokh par
ThanDā Thaar qabr sā haath rakh ke kahā thā
mubārak ho tum maañ banñe vaale ho
aachanak
KHud mein ye kaisi tabdiliyan mahsus kar raha hun main
mere baal daraaz aur ghane ho gae hain
main ab do choTiyan bandhne laga hun
meri aankhen pahle se ziyaada maKHmur ho gai hain
wo ab dekhne ke bajae ziyaada rone lagi hain
mere honT kohre ki ThanD ki tarah safed paD gae hain
wo ab bolne ke bajae ziyaada kapkapane lage hain
mera sina pahle sapaT tha
ab is par do uThanen uTh aai hain
dudh si koi shai is mein ThaThen marne lagi hai
main pahle qamis aur painT pahanta tha
ab main shalwar aur jampar pahanne laga hun
lagta hai abhi gyarah september hi ko main
ghusl-e-janabat se farigh hua hun
aachanak
achanak KHud mein ye kaisi tabdiliyan
mahsus kar raha hun main
abhi abhi thoDi der pahle mujhe ek zabardast qai hui thi
dai aai thi
us ne mera jampar utar ke meri kokh ke
meri kokh par
ThanDa Thaar qabr sa hath rakh ke kaha tha
mubarak ho tum man banne wale ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.