mubarakbaad
zamāne! tahniyat tujh ko
ki phir maidān maarā hai
magar ab ke jo haarā hai
baḌā hī saḳht-jāñ niklā
muqābil tere aane ko bahut tayār phirtā thā
liye hathiyār phirtā thā
vafā ke, zarf ke
āñkhoñ meñ raushan ḳhush-gumānī ke
laboñ par kheltī ḳhvāhish,
suḳhan meñ nāchtī ik hausla-mandī
ragoñ meñ dauḌtā sayyāl irāda thā
badan par ḳhvāb kī pahne zira-baktar
jabīñ par be-niyāzī ḳhuud kī sūrat Tikā.ī thī
girā ke farsh par is ko
baḌā arsa lagā tujh ko
ki is kāshāna-e-ummīd bhī lams-e-zamīñ chakkhe
phir is ke ba.ad
kitnī der tak us kā
adam taslīm-e-paspā.ī meñ chillāte hue rahnā...
zamāne tahniyat tujh ko
ki ab kī martaba jis ko pachhāḌā hai
baḌā hī saḳht-jāñ thā vo!!
zamane! tahniyat tujh ko
ki phir maidan mara hai
magar ab ke jo haara hai
baDa hi saKHt-jaan nikla
muqabil tere aane ko bahut tayar phirta tha
liye hathiyar phirta tha
wafa ke, zarf ke
aankhon mein raushan KHush-gumani ke
labon par khelti KHwahish,
suKHan mein nachti ek hausla-mandi
ragon mein dauDta sayyal irada tha
badan par KHwab ki pahne zira-baktar
jabin par be-niyazi KHud ki surat Tikai thi
gira ke farsh par is ko
baDa arsa laga tujh ko
ki is kashana-e-ummid bhi lams-e-zamin chakkhe
phir is ke baad
kitni der tak us ka
adam taslim-e-paspai mein chillate hue rahna
zamane tahniyat tujh ko
ki ab ki martaba jis ko pachhaDa hai
baDa hi saKHt-jaan tha wo!!
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 38)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.