mubham pate par dusra KHat
ham-nashīñ
ḳhvāb-gāh-e-‘adam se pare
ek be-samt shahr-e-suḳhan ke mahalle meñ
apnā koī yā-aḳhī yā-aḳhī kah ke sadiyoñ se
āvāz detā rahā
maiñ jhiḌaktā rahā
har uḳhuvvat kī āvāz ko
ham-nashīñ
be-hunar be-irāda
koī bīs-sāla javāñ
apne ḳhvāboñ kī lāsheñ liye
ḳhvāhishoñ kā janāza uThā.e hue
saḳht sardī meñ vīrāñ paḌī shāre’-e-ām par
nam havāoñ kī yaḳh-bastagī se
ThiThurtā huā
jaanā chāhe kisī qabr-e-gumnām par
ik diyā us ko āvāz de
yā-aḳhī kah ke sur taan de
ham-nashīñ
bīs-sāla javāñ kyā kare
ḳhvāhishoñ kā janāza liye shāre’-e-‘ām par
kyā kare
apne ḳhvāboñ kī lāshoñ kā nauha kahe
apnī tā-der ḳhvāhish kā mātam kare
yā javāban uḳhuvvat ko āvāz de aur dam ghoñT le
ham-nashin
KHwab-gah-e-‘adam se pare
ek be-samt shahr-e-suKHan ke mahalle mein
apna koi ya-aKHi ya-aKHi kah ke sadiyon se
aawaz deta raha
main jhiDakta raha
har uKHuwwat ki aawaz ko
ham-nashin
be-hunar be-irada
koi bis-sala jawan
apne KHwabon ki lashen liye
KHwahishon ka janaza uThae hue
saKHt sardi mein viran paDi shaare’-e-am par
nam hawaon ki yaKH-bastagi se
ThiThurta hua
jaana chahe kisi qabr-e-gumnam par
ek diya us ko aawaz de
ya-aKHi kah ke sur tan de
ham-nashin
bis-sala jawan kya kare
KHwahishon ka janaza liye shaare’-e-‘am par
kya kare
apne KHwabon ki lashon ka nauha kahe
apni ta-der KHwahish ka matam kare
ya jawaban uKHuwwat ko aawaz de aur dam ghonT le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.