mudaKHalat
chalo ek kaam karte haiñ
aise baat karte haiñ
ki ḳhāmosh raheñ
na tum kuchh bolo
na maiñ kuchh bolūñ
na suno tum kuchh
na sunūñ maiñ kuchh
bas dekheñ
ek dūsre kī āñkhoñ meñ
jab ki sāmne
na maiñ huuñ na tum
magar is guftugū ke biich meñ
agar kahīñ se tum aa jaao
to is mudāḳhalat pe
mujhe koī e'tirāz nahīñ
chalo ek kaam karte hain
aise baat karte hain
ki KHamosh rahen
na tum kuchh bolo
na main kuchh bolun
na suno tum kuchh
na sunun main kuchh
bas dekhen
ek dusre ki aankhon mein
jab ki samne
na main hun na tum
magar is guftugu ke bich mein
agar kahin se tum aa jao
to is mudaKHalat pe
mujhe koi e'tiraaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.