mudarris
log ustād jis ko kahte haiñ
us kā rutba aziim hotā hai
martaba us kā jo nahīñ samjhe
vo sadā zindagī meñ rotā hai
ilm kī ek anjuman ustād
phuul shāgird aur chaman ustād
kitnā ūñchā maqām hai us kā
saarī duniyā meñ naam hai us kā
zehn-o-dil ko sañvārte rahnā
raat din bas ye kaam hai us kā
fikr us kī jahāñ mahaktī hai
raah tārīk bhī chamaktī hai
fikr us kī surūr mahfil kā
fikr us kī sukūn sāhil kā
fikr us kī charāġh hai dil kā
fikr us kī hai nuur manzil kā
us kā saayā ḳhudā kī rahmat hai
tarbiyat us kī ek ne.amat hai
us kā jo ehtirām karte haiñ
donoñ aalam meñ un kī izzat hai
us kī ḳhidmat se nuur miltā hai
zindagī kā shu.ūr miltā hai
zindagī kā payām hai ustād
qābil-e-ehtirām hai ustād
log ustad jis ko kahte hain
us ka rutba azim hota hai
martaba us ka jo nahin samjhe
wo sada zindagi mein rota hai
ilm ki ek anjuman ustad
phul shagird aur chaman ustad
kitna uncha maqam hai us ka
sari duniya mein nam hai us ka
zehn-o-dil ko sanwarte rahna
raat din bas ye kaam hai us ka
fikr us ki jahan mahakti hai
rah tarik bhi chamakti hai
fikr us ki surur mahfil ka
fikr us ki sukun sahil ka
fikr us ki charagh hai dil ka
fikr us ki hai nur manzil ka
us ka saya KHuda ki rahmat hai
tarbiyat us ki ek neamat hai
us ka jo ehtiram karte hain
donon aalam mein un ki izzat hai
us ki KHidmat se nur milta hai
zindagi ka shuur milta hai
zindagi ka payam hai ustad
qabil-e-ehtiram hai ustad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.