muddat hui aurat hue
mujh se sahelī ne kahā
mumtāz aisā likhtī jā
jis meñ hoñ kuchh chūḌiyoñ
jhankār kī bāteñ
kuchh tazkire hoñ chunriyoñ ke
iz.hār kī bāteñ
uḌte sunahrī āñchaloñ meñ
motiyoñ kī sī laḌī
pahlī vo shaitānī merī
pahlī vo jo merī hañsī
baalī umr kī dil-kashī
vo bachpane kī shoḳhiyāñ
ḳhvāboñ meñ ḳhvāhish ke sarāb
dhaḌkan kī vo sargoshiyāñ
goTā kanārī Tāñkte
uñgliyoñ meñ suuī kī chubhan
dāñtoñ meñ uñglī daab kar
hotī shurūa phir se lagan
pahlī dafa dhaḌkā thā kab
ye dil tujhe kuchh yaad hai
vo ḳhushbūoñ rañgoñ kī duniyā
ab bhī kyā ābād hai
maiñ ne kahā merī sakhī
duniyā kyā tū ne na takī
masrūf itnī zindagī
ki chūḌiyāñ pahnī nahīñ
jo chunariyāñ rañgīn thiiñ
vo dhuup le kar uḌ ga.iiñ
merī umr kī titliyāñ
ab aur jānib muḌ ga.iiñ
ab dupaTToñ par kabhī na
goTā motī Tāñktī huuñ
sūiyāñ hāthoñ par nahīñ ab
dil ko apne Tāñktī huuñ
ḳhushbuoñ ke des se
maiñ duur itnī aa ga.ī
jiine kī ḳhātir
mard sā
andāz maiñ apnā ga.ī
rishtoñ ko nātoñ ko nibhāte
farz adā karte hue
tū ne jo chauñkāyā lagā
muddat huī aurat hue
mujh se saheli ne kaha
mumtaz aisa likhti ja
jis mein hon kuchh chuDiyon
jhankar ki baaten
kuchh tazkire hon chunriyon ke
izhaar ki baaten
uDte sunahri aanchalon mein
motiyon ki si laDi
pahli wo shaitani meri
pahli wo jo meri hansi
baali umr ki dil-kashi
wo bachpane ki shoKHiyan
KHwabon mein KHwahish ke sarab
dhaDkan ki wo sargoshiyan
goTa kanari Tankte
ungliyon mein sui ki chubhan
danton mein ungli dab kar
hoti shurua phir se lagan
pahli dafa dhaDka tha kab
ye dil tujhe kuchh yaad hai
wo KHushbuon rangon ki duniya
ab bhi kya aabaad hai
main ne kaha meri sakhi
duniya kya tu ne na taki
masruf itni zindagi
ki chuDiyan pahni nahin
jo chunariyan rangin thin
wo dhup le kar uD gain
meri umr ki titliyan
ab aur jaanib muD gain
ab dupaTTon par kabhi na
goTa moti Tankti hun
suiyan hathon par nahin ab
dil ko apne Tankti hun
KHushbuon ke des se
main dur itni aa gai
jine ki KHatir
mard sa
andaz main apna gai
rishton ko naton ko nibhate
farz ada karte hue
tu ne jo chaunkaya laga
muddat hui aurat hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.