muddat ke baad
muddat ke ba.ad tum se milā huuñ to ye khulā
ye vaqt aur fāsla dhoka nazar kā thā
chehre pe umr bhar kī masāfat raqam sahī
dil ke liye tamām safar lamha bhar kā thā
kaisī ajiib sā.at-e-dīdār hai ki ham
phir yuuñ mile ki jaise kabhī duur hī na the
āñkhoñ meñ kam-sinī ke vo sab ḳhvāb jaag uThe
jin meñ nigāh o dil kabhī majbūr hī na the
ma.asūm kis qadar thiiñ vo be-nām chāhateñ
bachpan se ham-kanār thā ahd-e-shabāb bhī
yuuñ ātish-e-badan meñ thī shabnam ghulī huī
mahtāb se ziyāda na thā āftāb bhī
phir vo havā chalī ki sabhī kuchh bikhar gayā
vo mahfileñ vo dost vo gul-rañg qahqahe
ab raqs-e-gard-bād kī sūrat hai zindagī
ye vaqt kā azaab kahāñ tak koī sahe
ab tum milīñ to kitne hī ġham haiñ tumhāre saath
patthar kī tarah tum ne gizārī hai zindagī
kitnā lahū jalāyā to ye phuul muskurā.e
kis kis jatan se tum ne sañvārī hai zindagī
maiñ ne bhī ek johd-e-musalsal meñ kaaT dī
vo umr thī jo phuul se armāñ liye hue
ab vo junūñ rahā hai na vo mausam-e-bahār
baiThā huuñ apnā chāk-e-girebāñ siye hue
ab apne apne ḳhuuñ kī amānat hai aur ham
aur in amānatoñ kī hifāzat ke ḳhvāb haiñ
āñkhoñ meñ koī pyaas ho dil meñ koī taḌap
phaile hue ufuq se ufuq tak sarāb haiñ
kis ko ḳhabar thī lamha ik aisā bhī aa.egā
maazī tamām phir simaT aa.egā haal meñ
mahsūs ho rahā hai ki guzrā nahīñ hai vaqt
ik lamha baT gayā thā faqat maah o saal maiñ
tum bhī vahī ho maiñ bhī vahī vaqt bhī vahī
haañ ik bujhī bujhī sī chamak chashm-e-nam meñ hai
ye lamha jis ke sehr meñ kho.e hue haiñ ham
kitnī masarratoñ kā surūr is ke ġham meñ hai
muddat ke baad tum se mila hun to ye khula
ye waqt aur fasla dhoka nazar ka tha
chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi
dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha
kaisi ajib saat-e-didar hai ki hum
phir yun mile ki jaise kabhi dur hi na the
aankhon mein kam-sini ke wo sab KHwab jag uThe
jin mein nigah o dil kabhi majbur hi na the
masum kis qadar thin wo be-nam chahaten
bachpan se ham-kanar tha ahd-e-shabab bhi
yun aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui
mahtab se ziyaada na tha aaftab bhi
phir wo hawa chali ki sabhi kuchh bikhar gaya
wo mahfilen wo dost wo gul-rang qahqahe
ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi
ye waqt ka azab kahan tak koi sahe
ab tum milin to kitne hi gham hain tumhaare sath
patthar ki tarah tum ne gizari hai zindagi
kitna lahu jalaya to ye phul muskurae
kis kis jatan se tum ne sanwari hai zindagi
main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kaT di
wo umr thi jo phul se arman liye hue
ab wo junun raha hai na wo mausam-e-bahaar
baiTha hun apna chaak-e-gireban siye hue
ab apne apne KHun ki amanat hai aur hum
aur in amanaton ki hifazat ke KHwab hain
aankhon mein koi pyas ho dil mein koi taDap
phaile hue ufuq se ufuq tak sarab hain
kis ko KHabar thi lamha ek aisa bhi aaega
mazi tamam phir simaT aaega haal mein
mahsus ho raha hai ki guzra nahin hai waqt
ek lamha baT gaya tha faqat mah o sal main
tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi
han ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai
ye lamha jis ke sehr mein khoe hue hain hum
kitni masarraton ka surur is ke gham mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.