muflison ka qaumi tarana
yahī mirī ḳhvāb-gāh-e-ishrat yahī hai merā nigār-ḳhāna
dhueñ kī rangīn badliyoñ meñ pakā rahī hai jahāñ vo khānā
yahīñ añdheroñ se mil ke ham chāñdnī ke chhakke chhuḌā rahe haiñ
yahīñ hamārā sila muqarrar huā hai adbār-e-jāvedāna
yahīñ use giilī lakḌiyoñ ne ḳhushī ke aañsū bahāte dekhā
yahīñ use raakh kī tahoñ ne banā diyā ġhair shā.irāna
yahīñ mirī saḳht-jān ġhairat ye bārhā sun chukī hai ab tak
abe tirī muflisī ke charche sune the maiñ ne to ġhā.ebāna
yahīñ vo jān-e-vafā mirī aarzū kī rangīniyoñ kī ḳhātir
chhiḌak ke bāloñ meñ itr-e-andesha kartī rahtī hai in meñ shāna
agar nahūsat kī jaan hai vo to banda īmān-e-muflisī hai
isī liye ek dūsre se hameñ mohabbat hai vālihāna
ilāhī terī ināyatoñ kā ye ek adnā sā hai karishma
hamāre iflās-e-be-karāñ kā jo aaj hai mo'tarif zamāna
vo us kā jaaḌe kī sard rātoñ meñ mujh se īñdhan kī baat karnā
ki jaise ye chiiz māvarā.ī ho yā alif-lailvī fasāna
tavīl fāqoñ ke ba.ad donoñ kā piich pī kar vo jhuum uThnā
vo us kī sharmīlī sī nigāheñ vo mere jazbāt-e-āshiqāna
ḳhushī meñ saarī ḳhudā.ī meñ half-day manāyā gayā thā us din
vajūd meñ aa gayā thā jis din hamārī ulfat kā shāḳhsāna
yahi meri KHwab-gah-e-ishrat yahi hai mera nigar-KHana
dhuen ki rangin badliyon mein paka rahi hai jahan wo khana
yahin andheron se mil ke hum chandni ke chhakke chhuDa rahe hain
yahin hamara sila muqarrar hua hai adbar-e-jawedana
yahin use gili lakDiyon ne KHushi ke aansu bahate dekha
yahin use rakh ki tahon ne bana diya ghair shairana
yahin meri saKHt-jaan ghairat ye barha sun chuki hai ab tak
abe teri muflisi ke charche sune the main ne to ghaebana
yahin wo jaan-e-wafa meri aarzu ki ranginiyon ki KHatir
chhiDak ke baalon mein itr-e-andesha karti rahti hai in mein shana
agar nahusat ki jaan hai wo to banda iman-e-muflisi hai
isi liye ek dusre se hamein mohabbat hai walihana
ilahi teri inayaton ka ye ek adna sa hai karishma
hamare iflas-e-be-karan ka jo aaj hai mo'tarif zamana
wo us ka jaDe ki sard raaton mein mujh se indhan ki baat karna
ki jaise ye chiz mawarai ho ya alif-lailwi fasana
tawil faqon ke baad donon ka pich pi kar wo jhum uThna
wo us ki sharmili si nigahen wo mere jazbaat-e-ashiqana
KHushi mein sari KHudai mein half-day manaya gaya tha us din
wajud mein aa gaya tha jis din hamari ulfat ka shaKHsana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.