muhasara
ḳhvāb kī bālkanī
bālkanī par ye saraktī huī parchhā.īñ mirii...
sāmne bālkanī ke nīche
barf meñ lithḌā huā
raushnī rotā huā balb abhī zinda hai
ek ehsās-e-ziyāñ baaqī hai
raat ke zīna-e-pechāñ se utarne lagī tanhā.ī mirī
is ke katbe pe tabāhī kā ye taaza bosa
sirf bose kā nishāñ baaqī hai
nīm-jāñ dā.era-e-nauha-girāñ baaqī hai
ruuh ke taar khiñche haiñ jin par
vaqt vāmāñda parinde kī tarah
laam
Te
kaaf
alif
huā chīḳhtā hai
maut atrāf-o-javānib meñ
kisī vahshī darinde kī tarah phirtī hai
jism ke chāroñ taraf
dard kī tārīk fasīl
zaat ke habs meñ kumhlā ga.ī āvāz mirī
ġham ke yalġhār se dil band huā
qalb-e-paivandi-e-ġham to hogī
shahr meñ koī dhaḌaktā huā dil
dil... kī koī taaza qalam to hogī
KHwab ki baalkani
baalkani par ye sarakti hui parchhain meri
samne baalkani ke niche
barf mein lithDa hua
raushni rota hua balb abhi zinda hai
ek ehsas-e-ziyan baqi hai
raat ke zina-e-pechan se utarne lagi tanhai meri
is ke katbe pe tabahi ka ye taza bosa
sirf bose ka nishan baqi hai
nim-jaan daera-e-nauha-giran baqi hai
ruh ke tar khinche hain jin par
waqt wamanda parinde ki tarah
lam
Te
kaf
alif
hua chiKHta hai
maut atraf-o-jawanib mein
kisi wahshi darinde ki tarah phirti hai
jism ke chaaron taraf
dard ki tarik fasil
zat ke habs mein kumhla gai aawaz meri
gham ke yalghaar se dil band hua
qalb-e-paiwandi-e-gham to hogi
shahr mein koi dhaDakta hua dil
dil ki koi taza qalam to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.