mujassama
ai siyah-fām hasīna tirā 'uryāñ paikar
kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai
jaane kis daur-e-alam-nāk se le kar ab tak
tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai
tere sab rang hayūle ke ye be-jān nuqūsh
jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne
ye tirī sāñvlī rangat ye pareshān ḳhutūt
bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā ne
resha-e-sañg se khīñchī huī zulfeñ jaise
rāste sīna-e-kohsār pe bal khāte haiñ
abrūoñ kī jhukī mehrāboñ meñ jāmid palkeñ
jis tarah tiir kamānoñ meñ ulajh jaate haiñ
munjamid hoñToñ pe sannāToñ kā sangīn tilism
jaise nāyāb ḳhazānoñ pe kaḌe pahre hoñ
tund jazbāt se bharpūr barahna siina
jaise sustāne ko tūfān zarā Thahre hoñ
jaise yūnān ke maġhrūr ḳhudā-vandoñ ne
regzārān-e-habsh kī kisī shahzādī ko
tishna rūhoñ ke havasnāk ta.ayyush ke liye
hajla-e-sañg meñ pāband banā rakkhā ho
ai siyah-fam hasina tera 'uryan paikar
kitni pathrai hui aankhon mein ghaltida hai
jaane kis daur-e-alam-nak se le kar ab tak
tu kaDe waqt ke zindanon mein KHwabida hai
tere sab rang hayule ke ye be-jaan nuqush
jaise marbut KHayalat ke tane-bane
ye teri sanwli rangat ye pareshan KHutut
barha jaise miTaya ho inhen duniya ne
resha-e-sang se khinchi hui zulfen jaise
raste sina-e-kohsar pe bal khate hain
abruon ki jhuki mehrabon mein jamid palken
jis tarah tir kamanon mein ulajh jate hain
munjamid honTon pe sannaTon ka sangin tilism
jaise nayab KHazanon pe kaDe pahre hon
tund jazbaat se bharpur barahna sina
jaise sustane ko tufan zara Thahre hon
jaise yunan ke maghrur KHuda-wandon ne
regzaran-e-habsh ki kisi shahzadi ko
tishna ruhon ke hawasnak tayyush ke liye
hajla-e-sang mein paband bana rakkha ho
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 168)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.