mujhko aawaz de
suunā suunā hai ghar
be-asar bām-o-dar
yuuñ na hogī basar
mujh ko āvāz de
ruuh ghabrā.ī hai
tīrgī chhā.ī hai
ai damaktī sahar
mujh ko āvāz de
ashk bahne lage
zaḳhm khulne lage
ai mire chārāgar
mujh ko āvāz de
zindagī kuchh nahīñ
raushnī kuchh nahīñ
bin tire ham-safar
mujh ko āvāz de
aarzū ke liye
justujū ke liye
har na.e moḌ par
mujh ko āvāz de
hai mujhe ye ḳhabar
tū nahīñ be-ḳhabar
dil ba-zid hai magar
mujh ko āvāz de
koī kab tak jiye
kab talak ke liye
lamha-e-muḳhtasar
mujh ko āvāz de
suna suna hai ghar
be-asar baam-o-dar
yun na hogi basar
mujh ko aawaz de
ruh ghabrai hai
tirgi chhai hai
ai damakti sahar
mujh ko aawaz de
ashk bahne lage
zaKHm khulne lage
ai mere chaaragar
mujh ko aawaz de
zindagi kuchh nahin
raushni kuchh nahin
bin tere ham-safar
mujh ko aawaz de
aarzu ke liye
justuju ke liye
har nae moD par
mujh ko aawaz de
hai mujhe ye KHabar
tu nahin be-KHabar
dil ba-zid hai magar
mujh ko aawaz de
koi kab tak jiye
kab talak ke liye
lamha-e-muKHtasar
mujh ko aawaz de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.