mujhko teri yaad aae
zindagī ke mele meñ
ḳhvāhishoñ ke rele meñ
rāste pe chalte meñ
bādaloñ ko takte meñ
chāñd ke ujāle meñ
titliyoñ ke haale meñ
mausamoñ kī bārish meñ
ulfatoñ meñ ranjish meñ
bebasī ke 'ālam meñ
be-dilī ke mausam meñ
mahfiloñ meñ kone meñ
hañsne aur rone meñ
raat ke añdhere meñ
shaam meñ savere meñ
dhaḌkanoñ kī uljhan meñ
pat-jhaḌoñ meñ sāvan meñ
ḳhāmushī kī sargam meñ
har ḳhushī meñ har ġham meñ
mujh ko terī yaad aa.e
mujh ko terī yaad aa.e
zindagi ke mele mein
KHwahishon ke rele mein
raste pe chalte mein
baadalon ko takte mein
chand ke ujale mein
titliyon ke haale mein
mausamon ki barish mein
ulfaton mein ranjish mein
bebasi ke 'alam mein
be-dili ke mausam mein
mahfilon mein kone mein
hansne aur rone mein
raat ke andhere mein
sham mein sawere mein
dhaDkanon ki uljhan mein
pat-jhaDon mein sawan mein
KHamushi ki sargam mein
har KHushi mein har gham mein
mujh ko teri yaad aae
mujh ko teri yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.