Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhse milo tum

Faisal Rehan

mujhse milo tum

Faisal Rehan

MORE BYFaisal Rehan

    mujh se milo tum

    bātoñ chaa.e par

    kahānī ke pech meñ

    bachpan shor kartī rail meñ

    maazī ke nukkaḌ par

    aflātūnī ishq mauj meñ

    fursat ke be-barakat din

    yaar judā.ī vaale pahar meñ

    javānī dhuup meñ

    ġhālib ke dīvān

    pur-bahār sīḌhiyoñ par

    lafzoñ ke bāzār meñ

    nazmoñ ke asrār meñ

    mujh se milo tum

    mujh se milo tum

    ajnabī mulkoñ sair-o-siyāhat meñ

    pyaar ke rasm-o-rivāj meñ

    halqa-e-yārāñ meñ

    tūfān-e-bād-o-bārāñ meñ

    senToras ke aqab meñ

    chhappar hotel ke TuuTe hue Table par

    chāñd pe baiThī huī buḌhiyā ke nūrānī charḳhe meñ

    assī dahā.ī filmoñ ke zikr meñ

    purānī kitāboñ dūkān par

    nisvānī ḳhushbuoñ ke chauk par

    bosoñ takrār meñ

    mujh se milo tum

    mujh se milo tum

    baaton ki chae par

    kahani ke pech mein

    bachpan ki shor karti rail mein

    mazi ke nukkaD par

    aflatuni ishq ki mauj mein

    fursat ke be-barakat din

    yar ki judai wale pahar mein

    jawani ki dhup mein

    ghaalib ke diwan ki

    pur-bahaar siDhiyon par

    lafzon ke bazar mein

    nazmon ke asrar mein

    mujh se milo tum

    mujh se milo tum

    ajnabi mulkon ki sair-o-siyahat mein

    pyar ke rasm-o-riwaj mein

    halqa-e-yaran mein

    tufan-e-baad-o-baran mein

    senToras ke aqab mein

    chhappar hotel ke TuTe hue Table par

    chand pe baiThi hui buDhiya ke nurani charKHe mein

    assi ki dahai ki filmon ke zikr mein

    purani kitabon ki dukan par

    niswani KHushbuon ke chauk par

    boson ki takrar mein

    mujh se milo tum

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now