mujhe aawaz mat dena
nihāyat sāf-goī se mujhe us ne batāyā hai
mujhe āvāz mat denā
kabhī pur-nūr sub.hoñ meñ
kabhī rangīn shāmoñ meñ
kabhī ḳhvābīda ḳhvāboñ meñ
mujhe āvāz mat denā
ki saut-o-harf ke jitne ta.alluq tum se qaa.em the
vo sab nā-mo'tabar Thahre
mohabbat kī junūñ-ḳhezī to bas ik aarzī shai thī
qabā-e-shauq ke sab rang kachche the
so maiñ ne ab dupaTTe ke kisī pahlū se
koī bhī girah baaqī nahīñ rakkhī
koī ḳhvāhish koī chāhat koī hasrat nahīñ rakhī
jo koī kāñch kā TukḌā
kisī vaade kā bosīda tayaqqun
yā koī ummīd kā ik pal
tumhāre paas hai
to lauTā do
mujhe ab yaad aayā hai
ki āḳhir ko ye honā thā
yahī āḳhir meñ honā hai
nihayat saf-goi se mujhe us ne bataya hai
mujhe aawaz mat dena
kabhi pur-nur subhon mein
kabhi rangin shamon mein
kabhi KHwabida KHwabon mein
mujhe aawaz mat dena
ki saut-o-harf ke jitne talluq tum se qaem the
wo sab na-mo'tabar Thahre
mohabbat ki junun-KHezi to bas ek aarzi shai thi
qaba-e-shauq ke sab rang kachche the
so main ne ab dupaTTe ke kisi pahlu se
koi bhi girah baqi nahin rakkhi
koi KHwahish koi chahat koi hasrat nahin rakhi
jo koi kanch ka TukDa
kisi wade ka bosida tayaqqun
ya koi ummid ka ek pal
tumhaare pas hai
to lauTa do
mujhe ab yaad aaya hai
ki aaKHir ko ye hona tha
yahi aaKHir mein hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.