mujhe abhi bahut dur jaana hai
kyā pairoñ kī thakan is safar ko rok saktī hai
kyā rāste ke roḌe mere irāde ko toḌ sakte haiñ
kyā maiñ yahāñ se vāpas lauT jā.ūñgā
kyā maiñ aur aage chal nahīñ pā.ūñgā
nahīñ nahīñ
shāyad mujhe jaanā hai bahut duur
go huuñ maiñ thakan se chuur
aur be-zār har manzar se
jo baar baar lauT kar nazar kī uktāhaT ban jaatā hai
vahī āsmān
vahī zamīn
vahī chāñd vahī sitāre
chāñdnī meñ chamakte aur mahakte vahī phuul
hāthoñ meñ chubhte vahī babūl
vahī mere man ko salāḳhoñ meñ lahū karne vaale aqvāl
lekin shāyad uktāhaT bhī maane na ho
qadmoñ kī
shāyad zindagī qaidī na bane lamhoñ kī
ye to havā-e-barg-o-bār kī tarah hai
jo kabhī na kabhī guzar jā.egī
mere zehn ke ḳhazāne kī uuprī sat.h ko bhī
kabhī na chhū pā.egī
shāyad abhī aage bahut duur jaanā hai
aur in baar baar aate lamhoñ
har baar aañkh ke sāmne ubharte manzaroñ
dariyāoñ sahrāoñ jañgaloñ
gaañv aur shahroñ
ke bhiiḌ se mujhe koī nayā rañg
nikālnā hogā
apne parāganda zehn ko qabr meñ dafn kar ke
nayā but nayā mandir banānā hogā
purāne lafzoñ se nayā lafz
purāne ma.ānī se na.e ma.ānī
ḳhalq karne hoñge
yahī nahīñ
mujhe pārīna kānoñ meñ
samā.atoñ ke na.e paimāne
āñkhoñ ke liye
na.e manzar-nāme se tartīb dene hoñge
chalte chalte mere juute bhī ghis ga.e haiñ
mujhe uff jūtoñ ko hī badalnā hogā
aur āñkhoñ par na.ī ainak lagānī hogī
taaki purāne shīshe meñ na.e rañg
purāne na dikhā.ī deñ
shāyad ye thakan mujhe rok na paa.e
shāyad maiñ in roadoñ ko phalāñg duuñ
shāyad apne hāthoñ se babūloñ ko noch
pheñkūñ
shāyad maiñ sin kī salāḳhoñ ko toḌ kar
bāhar aa jā.ūñ
aur malgajī chāñdnī ke aks ghar
apne lahū se surḳh-rū kar duuñ
aur qadam baḌhāte aage nigal jā.ūñ
shāyad mujhe abhī bahut duur jaanā hai
kya pairon ki thakan is safar ko rok sakti hai
kya raste ke roDe mere irade ko toD sakte hain
kya main yahan se wapas lauT jaunga
kya main aur aage chal nahin paunga
nahin nahin
shayad mujhe jaana hai bahut dur
go hun main thakan se chur
aur be-zar har manzar se
jo bar bar lauT kar nazar ki uktahaT ban jata hai
wahi aasman
wahi zamin
wahi chand wahi sitare
chandni mein chamakte aur mahakte wahi phul
hathon mein chubhte wahi babul
wahi mere man ko salaKHon mein lahu karne wale aqwal
lekin shayad uktahaT bhi mane na ho
qadmon ki
shayad zindagi qaidi na bane lamhon ki
ye to hawa-e-barg-o-bar ki tarah hai
jo kabhi na kabhi guzar jaegi
mere zehn ke KHazane ki upri sath ko bhi
kabhi na chhu paegi
shayad abhi aage bahut dur jaana hai
aur in bar bar aate lamhon
har bar aankh ke samne ubharte manzaron
dariyaon sahraon jangalon
ganw aur shahron
ke bhiD se mujhe koi naya rang
nikalna hoga
apne paraganda zehn ko qabr mein dafn kar ke
naya but naya mandir banana hoga
purane lafzon se naya lafz
purane maani se nae maani
KHalq karne honge
yahi nahin
mujhe parina kanon mein
samaaton ke nae paimane
aankhon ke liye
nae manzar-name se tartib dene honge
chalte chalte mere jute bhi ghis gae hain
mujhe uff juton ko hi badalna hoga
aur aankhon par nai ainak lagani hogi
taki purane shishe mein nae rang
purane na dikhai den
shayad ye thakan mujhe rok na pae
shayad main in roadon ko phalang dun
shayad apne hathon se babulon ko noch
phenkun
shayad main sin ki salaKHon ko toD kar
bahar aa jaun
aur malgaji chandni ke aks ghar
apne lahu se surKH-ru kar dun
aur qadam baDhate aage nigal jaun
shayad mujhe abhi bahut dur jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.