mujhe bata to sahi
mujhe batā to sahī ai habīb-e-kam-umrī
vahī haiñ lab vahī guftār aur vahī andāz
pas-e-vajūd vo kyā thā jo ab nahīñ hotā
mirī nazar meñ koī aisī raushnī thī bhalā
jo bijliyoñ sī utar kar tire sarāpe meñ
tujhe hujūm-e-dilārām se sivā kartī
vahī adā vahī andāz ḳhadd-o-ḳhāl magar
lagāv dil kā yūñhī be-sabab nahīñ hotā
ab us maqām pe hai zindagī jahāñ par ishq
haqīqatoñ se ka.ī saal iktisāb ke baa'd
badal chukā baḌī muddat se husn kā me.aar
mazīd ye ki chhalaktā vo dil kā paimāna
guzarte vaqt kī ThanDak se bhar gayā jaise
nazar pe ḳhvāb se rangoñ kā ek parda thā
vo ḳhvāb-rang sā parda utar gayā jaise
ab ai habīb tirī chashm-e-sahar-āgīñ meñ
sivā.e aks-e-guzishta ke kuchh nahīñ miltā
vo imtiyāz tirā kho gayā hujūm meñ phir
har ek rang tire ruḳh pe ab nahīñ khiltā
isī liye tujhe dekhā to dil ne sochā hai
vo bholpan thā mirā yā mirī himāqat thī
mujhe batā to sahī ai habīb-e-kam-umrī
mujhe bata to sahi ai habib-e-kam-umri
wahi hain lab wahi guftar aur wahi andaz
pas-e-wajud wo kya tha jo ab nahin hota
meri nazar mein koi aisi raushni thi bhala
jo bijliyon si utar kar tere sarape mein
tujhe hujum-e-dilaram se siwa karti
wahi ada wahi andaz KHadd-o-KHal magar
lagaw dil ka yunhi be-sabab nahin hota
ab us maqam pe hai zindagi jahan par ishq
haqiqaton se kai sal iktisab ke ba'd
badal chuka baDi muddat se husn ka mear
mazid ye ki chhalakta wo dil ka paimana
guzarte waqt ki ThanDak se bhar gaya jaise
nazar pe KHwab se rangon ka ek parda tha
wo KHwab-rang sa parda utar gaya jaise
ab ai habib teri chashm-e-sahar-agin mein
siwae aks-e-guzishta ke kuchh nahin milta
wo imtiyaz tera kho gaya hujum mein phir
har ek rang tere ruKH pe ab nahin khilta
isi liye tujhe dekha to dil ne socha hai
wo bholpan tha mera ya meri himaqat thi
mujhe bata to sahi ai habib-e-kam-umri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.