mujhe batao
pyārī ammī mujhe batāo
bādal paanī kahāñ se laa.e
chāñd ujālā kahāñ se paa.e
bijlī kaise cham-cham chamke
paanī kaise chham-chham barse
pyārī ammī mujhe batāo
biij se kaise koñpal phūTe
kaise lagte phir gul buuTe
peḌ kahāñ se khāte khānā
kyā hai un kā āb-o-dāna
pyārī ammī mujhe batāo
motor kaise chal jaatī hai
bijlī kaise jal jaatī hai
nal meñ paanī aa.e kaise
tape recorder lagā.e kaise
pyārī ammī mujhe batāo
totā mainā uḌte kaise
un ke paas ho jaadū jaise
jab ham koī chiiz girā.e
uupar se kyuuñ nīche aa.e
pyārī ammī mujhe batāo
achchhī ammī mujhe batāo
pyari ammi mujhe batao
baadal pani kahan se lae
chand ujala kahan se pae
bijli kaise cham-cham chamke
pani kaise chham-chham barse
pyari ammi mujhe batao
bij se kaise konpal phuTe
kaise lagte phir gul buTe
peD kahan se khate khana
kya hai un ka aab-o-dana
pyari ammi mujhe batao
motor kaise chal jati hai
bijli kaise jal jati hai
nal mein pani aae kaise
tape recorder lagae kaise
pyari ammi mujhe batao
tota maina uDte kaise
un ke pas ho jadu jaise
jab hum koi chiz girae
upar se kyun niche aae
pyari ammi mujhe batao
achchhi ammi mujhe batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.