mujhe bhul jao
chalo yuuñ sahī merā dil dil nahīñ thā
vafā kā lahū us meñ shāmil nahīñ thā
ye sachchī mohabbat kā hāmil nahīñ thā
tumhārī parastish ke qābil nahīñ thā
ye behtar hai ab tum mujhe bhuul jaao
ġhazab kī thī uf vo mulāqāt pahlī
jab ik kam zabāñ se thī kī baat pahlī
vo halkī sī būñdeñ vo barsāt pahlī
ḳhudā jaane kaisī thī vo raat pahlī
ye behtar hai ab tum mujhe bhuul jaao
chalo yun sahi mera dil dil nahin tha
wafa ka lahu us mein shamil nahin tha
ye sachchi mohabbat ka hamil nahin tha
tumhaari parastish ke qabil nahin tha
ye behtar hai ab tum mujhe bhul jao
ghazab ki thi uf wo mulaqat pahli
jab ek kam zaban se thi ki baat pahli
wo halki si bunden wo barsat pahli
KHuda jaane kaisi thi wo raat pahli
ye behtar hai ab tum mujhe bhul jao
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 132)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.