mujhe ek din chahiye
mujhe ek din chāhiye
chāhe chhuTTī kā din ho
yā apne irādoñ ke pul se guzarne kā
yā seb khāne kā din ho
mujhe ek din chāhiye
chāhe sāhil pe jā kar nahāne kā din ho
yā apnī pasandīda mausīqī sunñe kā din ho
daraḳhtoñ meñ chhup kar kisī se lipaTne kā din ho
yā phir koī din
merī tāqat meñ Duubā huā
mere ġhusse kī had se nikaltā huā
aisā din
jo khule āsmāñ kī tarah apnī bāñhoñ ko khole
mujhe ek din chāhiye
taaki maiñ apne pyāroñ ke dil meñ
Tapakte hue āñsuoñ ko
ḳhushī ke samundar meñ tabdīl kar duuñ
mujhe ek din chāhiye
mujhe ek din chahiye
chahe chhuTTi ka din ho
ya apne iradon ke pul se guzarne ka
ya seb khane ka din ho
mujhe ek din chahiye
chahe sahil pe ja kar nahane ka din ho
ya apni pasandida mausiqi sunne ka din ho
daraKHton mein chhup kar kisi se lipaTne ka din ho
ya phir koi din
meri taqat mein Duba hua
mere ghusse ki had se nikalta hua
aisa din
jo khule aasman ki tarah apni banhon ko khole
mujhe ek din chahiye
taki main apne pyaron ke dil mein
Tapakte hue aansuon ko
KHushi ke samundar mein tabdil kar dun
mujhe ek din chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.