mujhe ek kashti banane ki ijazat do
agar tum merī dhartī ko
apne ghoḌoñ kī charā-gāh
apne kuttoñ kī shikār-gāh banānā chāhte ho
to mujhe bhī ek kashtī banāne kī ijāzat do
jis meñ maiñ laad kar le jā sakūñ
apnā kunba
ḳhvāboñ kī gaThriyāñ
aur ek aurat
jo mere saath chalnā pasand kartī thī
mujhe nikāl kar le jaane do
galiyāñ jin kī
dhuul mere pairoñ ne chāTī
shahr jin kī
ḳhaak merī āñkhoñ ne phāñkī
log jo tum se
ijāzat le kar paidā nahīñ hue
log jo tum ko
ittilā.a diye baġhair mar ga.e
mujhe nikāl kar le jaane do
TuuTe hue chūlhe
bikhrī huī taḳhtiyāñ
bachche jin kī
qamīsoñ meñ baTan nahīñ hote
mujhe nikāl kar le jaane do
merī maañ kī qabr
jise meñ tumhāre ghoḌoñ
tumhāre kuttoñ ke liye nahīñ chhoḌ saktā
agar tum meri dharti ko
apne ghoDon ki chara-gah
apne kutton ki shikar-gah banana chahte ho
to mujhe bhi ek kashti banane ki ijazat do
jis mein main lad kar le ja sakun
apna kunba
KHwabon ki gaThriyan
aur ek aurat
jo mere sath chalna pasand karti thi
mujhe nikal kar le jaane do
galiyan jin ki
dhul mere pairon ne chaTi
shahr jin ki
KHak meri aankhon ne phanki
log jo tum se
ijazat le kar paida nahin hue
log jo tum ko
ittilaa diye baghair mar gae
mujhe nikal kar le jaane do
TuTe hue chulhe
bikhri hui taKHtiyan
bachche jin ki
qamison mein baTan nahin hote
mujhe nikal kar le jaane do
meri man ki qabr
jise mein tumhaare ghoDon
tumhaare kutton ke liye nahin chhoD sakta
- Book : Mamnu'u Mausamon Ki Kitab (Pg. 28)
- Author : Syed Kashif Reza
- Publication : Scheherzade (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.