mujhe hansna paDa aaKHir
mujhe hañsnā paḌā āḳhir
unhīñ bātoñ pe
jin par maiñ bahut nārāz thā us se
ye ik-tarfa mohabbat
yuuñ bhī itnā dard detī hai
ki is meñ biich kā rasta kabhī mumkin nahīñ hotā
vahī jhuktā hai
jis ko dūsrā darkār hotā hai
kisī qīmat pe chāhe jo bhī ho jaa.e
mujhe hansna paDa aaKHir
unhin baaton pe
jin par main bahut naraaz tha us se
ye ik-tarfa mohabbat
yun bhi itna dard deti hai
ki is mein bich ka rasta kabhi mumkin nahin hota
wahi jhukta hai
jis ko dusra darkar hota hai
kisi qimat pe chahe jo bhi ho jae
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 113)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.