mujhe ek sher kahna hai
udāsī ke hasīñ lamhoñ
kahāñ ho tum
ki maiñ kab se
tumhārī raah meñ
ḳhvāboñ ke nazrāne liye baiThā
hasīñ yādoñ kī jholī meñ
kahīñ gum huuñ
are lamho
mujhe is ḳhvāb se bedār karne ke liye aao
merī sochoñ ke ḳhākoñ meñ
are lamhoñ
koī ik rañg bhar jaao
mujhe ik sher kahnā hai
udasi ke hasin lamhon
kahan ho tum
ki main kab se
tumhaari rah mein
KHwabon ke nazrane liye baiTha
hasin yaadon ki jholi mein
kahin gum hun
are lamho
mujhe is KHwab se bedar karne ke liye aao
meri sochon ke KHakon mein
are lamhon
koi ek rang bhar jao
mujhe ek sher kahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.