mujhe jina nahin aata
maiñ jaise dard kā mausam
ghaTā ban kar jo bas jaatā hai āñkhoñ meñ
dhanak ke rañg ḳhushbū nazr karne kī tamannā le ke jis manzar talak jā.ūñ
siyah ashkoñ ke gahre kohr meñ Duubā huā pā.ūñ
meñ apne dil kā sonā
pyaar ke motī
tarastī aarzū ke phuul jis dar par sajātā huuñ
vahāñ jaise makīñ hotā nahīñ koī
banā huuñ ek muddat se sadā-e-bāzgasht aisī
jo dīvāroñ se Takrā.e
hirāsāñ ho ke lauT aa.e
dhaḌakte dil ke sūne-pan ko suunā aur kar jaa.e
maiñ apne aap ko suntā huuñ
apne aap ko chhūtā huuñ
apne aap se miltā huuñ ḳhvāboñ ke suhāne ā.ina-ghar meñ
to merā aks mujh par muskurātā hai
ye kahtā hai
salīqa tujh ko jiine kā na aanā thā nahīñ aayā
sadā.eñ pattharoñ kī tarah mujh par
mere ḳhvāboñ ke bikharte ā.ina-ghar par barastī haiñ
udhar taarā idhar jugnū
kahīñ ik phuul kī pattī kahīñ shabnam kā ik aañsū
bikhar jaatā hai sab kuchh ruuh ke sunsān sahrā meñ
maiñ phir se zindagī karne ke armāñ meñ
ik ik reze ko chuntā huuñ sajātā huuñ na.ī mūrat banātā huuñ
dhanak ke rañg ḳhushbū nazr karne kī tamannā meñ qadam aage baḌhātā huuñ
to ik be-nām gahrī dhund meñ sab Duub jaatā hai
kisī se kuchh shikāyat hai na shikva hai
ki maiñ to dard kā mausam huuñ
apne aap meñ paltā huuñ apne aap meñ jiitā huuñ
apne āñsuoñ meñ bhīgtā huuñ muskurātā huuñ
magar sab log kahte haiñ
tujhe jiinā nahīñ aatā
main jaise dard ka mausam
ghaTa ban kar jo bas jata hai aankhon mein
dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna le ke jis manzar talak jaun
siyah ashkon ke gahre kohr mein Duba hua paun
mein apne dil ka sona
pyar ke moti
tarasti aarzu ke phul jis dar par sajata hun
wahan jaise makin hota nahin koi
bana hun ek muddat se sada-e-bazgasht aisi
jo diwaron se Takrae
hirasan ho ke lauT aae
dhaDakte dil ke sune-pan ko suna aur kar jae
main apne aap ko sunta hun
apne aap ko chhuta hun
apne aap se milta hun KHwabon ke suhane aaina-ghar mein
to mera aks mujh par muskuraata hai
ye kahta hai
saliqa tujh ko jine ka na aana tha nahin aaya
sadaen pattharon ki tarah mujh par
mere KHwabon ke bikharte aaina-ghar par barasti hain
udhar tara idhar jugnu
kahin ek phul ki patti kahin shabnam ka ek aansu
bikhar jata hai sab kuchh ruh ke sunsan sahra mein
main phir se zindagi karne ke arman mein
ek ek reze ko chunta hun sajata hun nai murat banata hun
dhanak ke rang KHushbu nazr karne ki tamanna mein qadam aage baDhata hun
to ek be-nam gahri dhund mein sab Dub jata hai
kisi se kuchh shikayat hai na shikwa hai
ki main to dard ka mausam hun
apne aap mein palta hun apne aap mein jita hun
apne aansuon mein bhigta hun muskuraata hun
magar sab log kahte hain
tujhe jina nahin aata
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 575)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.