mujhe juzdan se bahar nikalo
mujhe juzdān meñ tum ne lapeTā
phir us ke baa'd tāqoñ par sajāyā
mirī āyāt ke ta.avīz kar ke
tumhī ne mujh ko jismoñ par sajāyā
kabhī sach qatl kar dene kī ḳhātir
saroñ par apne jhūToñ ne uThāyā
mujhe samjhe binā paḌhte rahe tum
mirī tauhīn yuuñ karte rahe tum
mire alfāz ko tasvīr kar ke
sajāyā ghar kī dīvāroñ ko tum ne
muballiġh ne ġhalat tashrīh kar ke
mire paiġhām kī tauhīn kī hai
maiñ rakkhā jāhiloñ kī rehl par huuñ
tabhī to aisī hālat diin kī hai
mohabbat amn kā paiġhām huuñ maiñ
agar samjho to ik in.aam huuñ maiñ
ḳhudā ke vāste ḳhud ko sañbhālo
mujhe juzdān se bāhar nikālo
mujhe juzdan mein tum ne lapeTa
phir us ke ba'd taqon par sajaya
meri aayat ke tawiz kar ke
tumhi ne mujh ko jismon par sajaya
kabhi sach qatl kar dene ki KHatir
saron par apne jhuTon ne uThaya
mujhe samjhe bina paDhte rahe tum
meri tauhin yun karte rahe tum
mere alfaz ko taswir kar ke
sajaya ghar ki diwaron ko tum ne
muballigh ne ghalat tashrih kar ke
mere paigham ki tauhin ki hai
main rakkha jahilon ki rehl par hun
tabhi to aisi haalat din ki hai
mohabbat amn ka paigham hun main
agar samjho to ek inam hun main
KHuda ke waste KHud ko sanbhaalo
mujhe juzdan se bahar nikalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.