mujhe KHamosh kar do
bahut bakne lagā hai ye dil-e-hasrat-zada ab to
kahīñ aisā na ho kuchh raaz kī bāteñ bhī kah jaa.e
magar is mas.ale kā ek hal ye hai
mire muñh kholte hī tum
mujhe chup-shāh ke roze kī chupke se qasam de kar
zabāñ kā but
mire hoñToñ kī mehrāboñ meñ rakh do
aur mujhe ḳhāmosh kar do
bahut bakne laga hai ye dil-e-hasrat-zada ab to
kahin aisa na ho kuchh raaz ki baaten bhi kah jae
magar is masale ka ek hal ye hai
mere munh kholte hi tum
mujhe chup-shah ke roze ki chupke se qasam de kar
zaban ka but
mere honTon ki mehrabon mein rakh do
aur mujhe KHamosh kar do
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 16)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.