mujhe khol taza hawa mein rakh
ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai
ise kaaT bhī
ye jo daftar-e-ġham-e-zīst hai
ise band kar
ise band kar ki vo but-farosh nahīñ rahe
jo asiir the ruḳh-e-dahr ke
tire rū-ba-rū tire chaar sū
shab hast-o-būd kī raah meñ tire ham-qadam
tire ā.inoñ kī shikastagī kā bharam liye
koī aur kab hai mire sivā
koī aur kab thā mire baġhair
magar ai rahīn-e-dam-e-alast
mire vāqiye ke muqaddamāt se peshtar
merī bandagī ko faroġh de
kabhī dopahar ke ḳhumār meñ
kisī aks-e-mauj-e-balā meñ rakh
mire ḳhāk-o-ḳhūñ ko nihāl kar
mujhe khol taaza havā meñ rakh
ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai
ise kaT bhi
ye jo daftar-e-gham-e-zist hai
ise band kar
ise band kar ki wo but-farosh nahin rahe
jo asir the ruKH-e-dahr ke
tere ru-ba-ru tere chaar su
shab hast-o-bud ki rah mein tere ham-qadam
tere aainon ki shikastagi ka bharam liye
koi aur kab hai mere siwa
koi aur kab tha mere baghair
magar ai rahin-e-dam-e-alast
mere waqiye ke muqaddamat se peshtar
meri bandagi ko farogh de
kabhi dopahar ke KHumar mein
kisi aks-e-mauj-e-bala mein rakh
mere KHak-o-KHun ko nihaal kar
mujhe khol taza hawa mein rakh
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 163)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.