Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe kuchh yaad aata hai

Nomaan Shauque

mujhe kuchh yaad aata hai

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    tumhāre shahr ko chhoḌe hue

    ikkīs din

    ikkīs rāteñ

    aur kuchh parkār lamhe ho chuke haiñ

    mire āmāl-nāme par kisī be-jān jazbe

    aur adhūrā jism jaltā hai

    vahāñ jab din nikaltā hai

    vahāñ jab shaam hotī hai

    kisī ke viloin jaise badan par

    narm dhūpoñ ke nikharte saa.e

    apnī surma.ī āñkhoñ se

    dukh ke raag gaate haiñ

    vahāñ jab raat hotī hai

    mire andhe mashāmoñ se

    koī ḳhushbū nikal kar phail jaatī hai

    mohabbat ke kisī shaffāf lamhe munavvar jism

    mirī be-karāñ tanhā.iyoñ meñ

    jagmagātā hai

    mujhe kuchh yaad aatā hai

    tumhaare shahr ko chhoDe hue

    ikkis din

    ikkis raaten

    aur kuchh parkar lamhe ho chuke hain

    mere aamal-name par kisi be-jaan jazbe ka

    aur adhura jism jalta hai

    wahan jab din nikalta hai

    wahan jab sham hoti hai

    kisi ke wiloin jaise badan par

    narm dhupon ke nikharte sae

    apni surmai aankhon se

    dukh ke rag gate hain

    wahan jab raat hoti hai

    mere andhe mashamon se

    koi KHushbu nikal kar phail jati hai

    mohabbat ke kisi shaffaf lamhe ka munawwar jism

    meri be-karan tanhaiyon mein

    jagmagata hai

    mujhe kuchh yaad aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now