mujhe le chal
mirī 'salmā' mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ!
jahāñ rañgīñ bahishteñ kheltī haiñ sabza-zāroñ meñ!
jahāñ hūroñ kī zulfeñ jhūmtī haiñ shāḳh-sāroñ meñ
jahāñ pariyoñ ke naġhme gūñjte haiñ kohsāroñ meñ
javānī kī bahāreñ tairtī haiñ ābshāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ
vo mastāna bahāreñ jin pe qurbāñ arz-e-jannat hai
jahāñ har zarra ik gahvāra-e-mauj-e-latāfat hai
jahāñ rañgat hī rañgat hai jahāñ nik.hat hī nik.hat hai
mohabbat hukmarāñ hai jin ke pākīza dayāroñ meñ!
mirī 'salmā' mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ!
vo doshīza fazā.eñ jannatoñ kā hai gumāñ jin par
chhiḌaktā hai mai-e-tasnīm-o-kausar āsmāñ jin par
luTātī hai sahāb-e-husn-o-tal.at kahkashāñ jin par
surūr o nuur o nik.hat baste haiñ jin ke sitāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ!
jahāñ shaam o sahar niilī ghaTā.eñ ghir ke aatī haiñ!
ufuq kī god meñ nīlam kī pariyāñ muskurātī haiñ!
fazāoñ meñ bahāreñ hī bahāreñ lahlahātī haiñ
jahāñ fitrat machaltī hai lahakte abr-pāroñ meñ!
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ!
jahāñ chāroñ taraf bāġh-o-gulistāñ lahlahāte haiñ
shagufta vādiyoñ meñ jannatoñ ke ḳhvāb aate haiñ
jahāñ ma.asūm taa.ir ishq ke naġhme sunāte haiñ
aur un kā lahn-e-shīrīñ gūñjtā hai kohsāroñ meñ!
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ bahāroñ meñ!
hukūmat hai jahāñ sidq-o-safā o mehr-o-ulfat kī
nashāt-o-aish-o-ishrat kī surūr-o-lutf-o-rāhat kī
nasīm o anjum o gul kī navā o nuur o nik.hat kii!
mohabbat maujzan hai jin ke doshīza nazāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ nazāroñ meñ!
jahāñ ābād ye nāpāk shahristāñ nahīñ hote
fasādī fitna-parvar aur zalīl insāñ nahīñ hote
ye insāñ haañ ye haivāñ bad-tar az-shaitāñ nahīñ hote
fasād-o-shar jahāñ sote haiñ ḳhvāboñ ke mazāroñ meñ!
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ nazāroñ meñ!
bahishtoñ kī latāfat hai jahāñ kī zindagānī meñ
maza aatā hai kausar kā jahāñ ke saada paanī meñ
ḳhudā.ī husn uryāñ hai jahāñ kī naujavānī meñ!
sadāqat karvaTeñ letī hai sāz-e-dil ke tāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ nazāroñ meñ!
''hayāt-e-dā.imī'' likkhā huā hai jin ke aivāñ par
iram-zār-e-abad hai sāya-zan jin ke ḳhayābāñ par
davāmiyyat ke jalve chhā rahe haiñ bāġh-o-bustāñ par
guzar mumkin nahīñ hai maut kā jin ke nazāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal tū un rañgīñ nazāroñ meñ
mohabbat meñ jo ho jaatā hai pā.inda nahīñ martā!
sadāqat jis ko kar detī hai tābinda nahīñ martā!
hai jis meñ ishq raqsāñ vo dil-e-zinda nahīñ martā!
nava-e-''lā-fanā'' hai ruuh ke ḳhāmosh tāroñ meñ
mirī 'salmā'! mujhe le chal to un rañgīñ nazāroñ meñ!
meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan rangin bahishten khelti hain sabza-zaron mein!
jahan huron ki zulfen jhumti hain shaKH-saron mein
jahan pariyon ke naghme gunjte hain kohsaron mein
jawani ki bahaaren tairti hain aabshaaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein
wo mastana bahaaren jin pe qurban arz-e-jannat hai
jahan har zarra ek gahwara-e-mauj-e-latafat hai
jahan rangat hi rangat hai jahan nikhat hi nikhat hai
mohabbat hukmaran hai jin ke pakiza dayaron mein!
meri 'salma' mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
wo doshiza fazaen jannaton ka hai guman jin par
chhiDakta hai mai-e-tasnim-o-kausar aasman jin par
luTati hai sahab-e-husn-o-talat kahkashan jin par
surur o nur o nikhat baste hain jin ke sitaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan sham o sahar nili ghaTaen ghir ke aati hain!
ufuq ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hain!
fazaon mein bahaaren hi bahaaren lahlahati hain
jahan fitrat machalti hai lahakte abr-paron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
jahan chaaron taraf bagh-o-gulistan lahlahate hain
shagufta wadiyon mein jannaton ke KHwab aate hain
jahan masum tair ishq ke naghme sunate hain
aur un ka lahn-e-shirin gunjta hai kohsaron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin bahaaron mein!
hukumat hai jahan sidq-o-safa o mehr-o-ulfat ki
nashat-o-aish-o-ishrat ki surur-o-lutf-o-rahat ki
nasim o anjum o gul ki nawa o nur o nikhat ki!
mohabbat maujzan hai jin ke doshiza nazaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
jahan aabaad ye napak shahristan nahin hote
fasadi fitna-parwar aur zalil insan nahin hote
ye insan han ye haiwan bad-tar az-shaitan nahin hote
fasad-o-shar jahan sote hain KHwabon ke mazaron mein!
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
bahishton ki latafat hai jahan ki zindagani mein
maza aata hai kausar ka jahan ke sada pani mein
KHudai husn uryan hai jahan ki naujawani mein!
sadaqat karwaTen leti hai saz-e-dil ke taron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein!
hayat-e-daimi likkha hua hai jin ke aiwan par
iram-zar-e-abad hai saya-zan jin ke KHayaban par
dawamiyyat ke jalwe chha rahe hain bagh-o-bustan par
guzar mumkin nahin hai maut ka jin ke nazaron mein
meri 'salma'! mujhe le chal tu un rangin nazaron mein
mohabbat mein jo ho jata hai painda nahin marta!
sadaqat jis ko kar deti hai tabinda nahin marta!
hai jis mein ishq raqsan wo dil-e-zinda nahin marta!
nawa-e-la-fana hai ruh ke KHamosh taron mein
meri 'salma'! mujhe le chal to un rangin nazaron mein!
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 415)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.