mujhe mat batana
mujhe mat batānā
ki tum ne mujhe chhoḌne kā irāda kiyā thā
to kyuuñ
aur kis vaj.h se
abhī to tumhāre bichhaḌne kā dukh bhī nahīñ kam huā
abhī to maiñ
bātoñ ke va.adoñ ke shahr-e-tilismāt meñ
aañkh par ḳhush-gumānī kī paTTī liye
tum ko peḌoñ ke pīchhe daraḳhtoñ ke jhunD
aur dīvār kī pusht par DhūñDne meñ magan huuñ
kahīñ par tumhārī sadā aur kahīñ par tumhārī mahak
mujh pe hañsne meñ masrūf hai
abhī tak tumhārī hañsī se nabard-āzmā huuñ
aur is jañg meñ
merā hathiyār
apnī vafā par bharosa hai aur kuchh nahīñ
use kund karne kī koshish na karnā
mujhe mat batānā.....
mujhe mat batana
ki tum ne mujhe chhoDne ka irada kiya tha
to kyun
aur kis wajh se
abhi to tumhaare bichhaDne ka dukh bhi nahin kam hua
abhi to main
baaton ke wadon ke shahr-e-tilismat mein
aankh par KHush-gumani ki paTTi liye
tum ko peDon ke pichhe daraKHton ke jhunD
aur diwar ki pusht par DhunDne mein magan hun
kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhaari mahak
mujh pe hansne mein masruf hai
abhi tak tumhaari hansi se nabard-azma hun
aur is jang mein
mera hathiyar
apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin
use kund karne ki koshish na karna
mujhe mat batana
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam (khud kalaamii) (Pg. 123)
- Author : Parviin saakir
- Publication : Educational publishing house (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.