mujhe mohabbat hai
mujhe mohabbat hai hasīn chehroñ se
hasīñ phūloñ se
lahlahāte sabza-zāroñ se
gungunāte ābshāroñ se
mujhe mohabbat hai
apnoñ se pyāroñ se
ġham se ġhamgusāroñ se
insāñ se insāñ ke parastāroñ se
mohabbat ko ilzām na do
havas kā naam na do
mohabbat ik jazba hai mohabbat kā
mujhe mohabbat hai
zamīñ se āsmāñ se
chāñd tāroñ se
duniyā se duniyā ke ḳhāliq se
mujhe mohabbat hai hasin chehron se
hasin phulon se
lahlahate sabza-zaron se
gungunate aabshaaron se
mujhe mohabbat hai
apnon se pyaron se
gham se ghamgusaron se
insan se insan ke parastaron se
mohabbat ko ilzam na do
hawas ka nam na do
mohabbat ek jazba hai mohabbat ka
mujhe mohabbat hai
zamin se aasman se
chand taron se
duniya se duniya ke KHaliq se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.