mujhe muaf kar dena
ai zamīn
mujhe muaaf kar denā
māntī huuñ
tere phūloñ meñ
ḳhuub ras bharā hai
magar ab
mujh dil darāz ko
kuchh aur dil jītne haiñ
apnā zā.iqa badalnā hai
maiñ to titlī huuñ
tujhe maan lenā chāhiye
merī mohabbat kā dā.era
bahut vasī.a hai
ai zamīn
mere pairoñ meñ
beḌiyāñ
yuuñ na Daal
ki āzād hone ke ba.ad
maiñ lauT na sakūñ
ai zamin
mujhe muaf kar dena
manti hun
tere phulon mein
KHub ras bhara hai
magar ab
mujh dil daraaz ko
kuchh aur dil jitne hain
apna zaiqa badalna hai
main to titli hun
tujhe man lena chahiye
meri mohabbat ka daera
bahut wasia hai
ai zamin
mere pairon mein
beDiyan
yun na Dal
ki aazad hone ke baad
main lauT na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.