mujhe mujhse le lo!
dozaḳhī sā.atoñ ke
sabhī ḳhvāb aaseb ban kar
mire dil se lipTe hue haiñ
mirī ruuh anjāne hāthoñ meñ jakḌī huī hai
mujhe, mujh se le lo
ki ye zindagī
un azāboñ kī mīrās hai
lamha lamha jo merā lahū pī rahe haiñ
zamānoñ se maiñ mar chukā huuñ magar an-ginat
vahshī ifrīt
mere lahū kī tavānā.ī par aaj bhī pal rahe haiñ
dozaKHi saaton ke
sabhi KHwab aaseb ban kar
mere dil se lipTe hue hain
meri ruh anjaane hathon mein jakDi hui hai
mujhe, mujh se le lo
ki ye zindagi
un azabon ki miras hai
lamha lamha jo mera lahu pi rahe hain
zamanon se main mar chuka hun magar an-ginat
wahshi ifrit
mere lahu ki tawanai par aaj bhi pal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.