mujhe rasta nahin milta
mujhe rasta nahīñ miltā
maiñ jauhaḌ meñ khile phūloñ ke haq meñ bol kar
daldal kī tah meñ dhañs gayā huuñ
meñ nahīñ kahtā ki ye kis āsmāñ kā kaun sā sayyāra-e-bad hai
magar ye tah zamīñ kī āḳhirī chhat hai
yahāñ din hī nikaltā hai na shām-e-umr Dhaltī hai
parinda bhī nahīñ koī ki jis ke paañv se koī
navishta bāñdh kar bhejūñ to samjhūñ us se milne kā
bahāna haath aayā hai
sitāra bhī nahīñ koī ki jis se guftugū Thahre
navāh-e-jism meñ phailī ḳhizar-āsār tanhā.ī mirī sāñseñ baḌhātī hai
mujhe is daldalī goshe se jaane kā koī rasta nahīñ miltā
san ai merī ḳhizar-āsār tanhā.ī
mirī ḳhātir bhī thoḌā sā taraddud kar
mujhe bhī to 'sikandar' ke janāze meñ pahuñchnā hai
mujhe bhī āb-e-haivāñ se chhalaktī maut kā nauha sunānā hai
mujhe bhī duur jaanā hai
san ai merī ḳhizar-āsār tanhā.ī
mujhe is tuḳhm-e-imkāñ ke darīche se nikalne de
numū kī chaal chalne de
mujhe rasta nahīñ miltā
mujhe rasta nahin milta
main jauhaD mein khile phulon ke haq mein bol kar
daldal ki tah mein dhans gaya hun
mein nahin kahta ki ye kis aasman ka kaun sa sayyara-e-bad hai
magar ye tah zamin ki aaKHiri chhat hai
yahan din hi nikalta hai na sham-e-umr Dhalti hai
parinda bhi nahin koi ki jis ke panw se koi
nawishta bandh kar bhejun to samjhun us se milne ka
bahana hath aaya hai
sitara bhi nahin koi ki jis se guftugu Thahre
nawah-e-jism mein phaili KHizar-asar tanhai meri sansen baDhati hai
mujhe is daldali goshe se jaane ka koi rasta nahin milta
san ai meri KHizar-asar tanhai
meri KHatir bhi thoDa sa taraddud kar
mujhe bhi to 'sikandar' ke janaze mein pahunchna hai
mujhe bhi aab-e-haiwan se chhalakti maut ka nauha sunana hai
mujhe bhi dur jaana hai
san ai meri KHizar-asar tanhai
mujhe is tuKHm-e-imkan ke dariche se nikalne de
numu ki chaal chalne de
mujhe rasta nahin milta
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.