mujhe sham aai hai shahr mein
maiñ safar meñ huuñ
mire jism par
haiñ hazār rañgoñ kī yūrisheñ
kahīñ surḳh phuul khilā huā
kahīñ niil hai
kahīñ sabz rañg hai zahr kā
magar aa.ina shab-e-shahr kā
mirī Dhaal hai
jo visāl hai
vahī asl hijr-misāl hai
mire sāmne vahī rāste
vahī bām-o-dar
vahī sañg haiñ vahī sūliyāñ
mujhe shaam aa.ī hai shahr meñ
mujhe shaam aa.ī hai shahr meñ
jahāñ āsmāñ kī vus.atoñ se
savāl kāsa-ba-dast lauTe the
yaad hai
shab hiila jo tujhe yaad hai
vo salīb
jis pe machān najm-e-sahar kī thī
vo ḳhatīb
jis kā ḳhitāb abrū huā se thā
vo sadā-e-zabt ajiib thī
kahīñ koḌhiyoñ kī shifā banī
kahīñ abr-o-bād se
chob-e-ḳhushk taḌaḳh rahī thī saver se
baḌī der se yahāñ marqadoñ ke gulāb
paañv kī dhuul haiñ
maiñ safar meñ huuñ
mujhe shaam aa.ī hai shahr meñ
mire haath meñ bhī kamān hai
mujhe tiir de
main safar mein hun
mere jism par
hain hazar rangon ki yurishen
kahin surKH phul khila hua
kahin nil hai
kahin sabz rang hai zahr ka
magar aaina shab-e-shahr ka
meri Dhaal hai
jo visal hai
wahi asl hijr-misal hai
mere samne wahi raste
wahi baam-o-dar
wahi sang hain wahi suliyan
mujhe sham aai hai shahr mein
mujhe sham aai hai shahr mein
jahan aasman ki wusaton se
sawal kasa-ba-dast lauTe the
yaad hai
shab hila jo tujhe yaad hai
wo salib
jis pe machan najm-e-sahar ki thi
wo KHatib
jis ka KHitab abru hua se tha
wo sada-e-zabt ajib thi
kahin koDhiyon ki shifa bani
kahin abr-o-baad se
chob-e-KHushk taDaKH rahi thi sawer se
baDi der se yahan marqadon ke gulab
panw ki dhul hain
main safar mein hun
mujhe sham aai hai shahr mein
mere hath mein bhi kaman hai
mujhe tir de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.