mujhe talash karo
Interesting Fact
(Funun, Lahore, December 1973)
shajar se TuuT ke jab maiñ girā kahāñ pe girā
mujhe talāsh karo
jin āñdhiyoñ ne mirī sar-zamīñ udheḌī thī
vo aaj maulid-e-īsā meñ gard uḌātī haiñ
jo ho sake to unhī se mirā pata pūchho
mujhe talāsh karo
chalī jo mashriq-o-maġhrib se tund-o-tez havā
mire shajar ne mujhe pyaar se sameT liyā
mujhe lapeT liyā apnī kitnī bāhoñ meñ
ye be-lihāz anāsir magar ba-zid hī rahe
maiñ barg-e-sabz girā barg-e-zard kī mānind
usī sulagtī huī raakh sī patāvar meñ
jo bichh rahī hai ufuq se ufuq ke paar talak
mujhe talāsh karo
shajar se kaT ke zabāñ kaT ga.ī na ho merī
maiñ chīḳhtā huuñ magar harf-e-nā-shunīda huuñ
hayāt-e-tāza hai merī shajar se merā milāp
ki bas vahī mirī bālīdgī kā mamba.a hai
jo regzār meñ chhitnār dekhne haiñ tumheñ
mujhe talāsh karo
falak ke raaz to khulte raheñge ham-nafaso
mire vajūd kā bhī ab to raaz faash karo
mujhe talāsh karo
shajar se TuT ke jab main gira kahan pe gira
mujhe talash karo
jin aandhiyon ne meri sar-zamin udheDi thi
wo aaj maulid-e-isa mein gard uDati hain
jo ho sake to unhi se mera pata puchho
mujhe talash karo
chali jo mashriq-o-maghrib se tund-o-tez hawa
mere shajar ne mujhe pyar se sameT liya
mujhe lapeT liya apni kitni bahon mein
ye be-lihaz anasir magar ba-zid hi rahe
main barg-e-sabz gira barg-e-zard ki manind
usi sulagti hui rakh si patawar mein
jo bichh rahi hai ufuq se ufuq ke par talak
mujhe talash karo
shajar se kaT ke zaban kaT gai na ho meri
main chiKHta hun magar harf-e-na-shunida hun
hayat-e-taza hai meri shajar se mera milap
ki bas wahi meri baalidgi ka mamba hai
jo regzar mein chhitnar dekhne hain tumhein
mujhe talash karo
falak ke raaz to khulte rahenge ham-nafaso
mere wajud ka bhi ab to raaz fash karo
mujhe talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.