mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
mujhe to intizār-e-ishq meñ hī lutf aatā hai
kisī kī chāhatoñ kā rañg har dhaḌkan pe taarī ho
ajab sā karb bechainī musalsal be-qarārī ho
nigāheñ muntazir furqat kasak aur āh-o-zārī ho
mujhe to intizār-e-ishq meñ hī lutf aatā hai
kabhī pahlū meñ miltā hai kabhī vo duur jaatā hai
kisī ke jism o jaañ ko ishq har lamha jalātā hai
tasavvur kaise kaise dil-nashīñ manzar dikhātā hai
mujhe to intizār-e-ishq meñ hī lutf aatā hai
abhī to furqat-e-jānāñ ke qisse ḳhuub likhne haiñ
dabī chāhat ke naġhme aur tarāne ḳhuub likhne haiñ
rifāqat meñ judā.ī ke fasāne ḳhuub likhne haiñ
mujhe to intizār-e-ishq meñ hī lutf aatā hai
'alīnā' intizār-e-ishq ġhazloñ ko sajā degā
visāl-e-yār to bas chand lamhoñ kā mazā degā
milan ho phir judā.ī aisā pal har pal sazā degā
mujhe to intizār-e-ishq meñ hī lutf aatā hai
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
kisi ki chahaton ka rang har dhaDkan pe tari ho
ajab sa karb bechaini musalsal be-qarari ho
nigahen muntazir furqat kasak aur aah-o-zari ho
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
kabhi pahlu mein milta hai kabhi wo dur jata hai
kisi ke jism o jaan ko ishq har lamha jalata hai
tasawwur kaise kaise dil-nashin manzar dikhata hai
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
abhi to furqat-e-jaanan ke qisse KHub likhne hain
dabi chahat ke naghme aur tarane KHub likhne hain
rifaqat mein judai ke fasane KHub likhne hain
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
'alina' intizar-e-ishq ghazlon ko saja dega
visal-e-yar to bas chand lamhon ka maza dega
milan ho phir judai aisa pal har pal saza dega
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.