mujhe tum se mohabbat hai
ḳhudā kahtā hai bandoñ se
mujhe tum se mohabbat hai
tumhārī shah-e-rag se bhī
maiñ ziyāda paas rahtā huuñ
tumheñ maiñ kaise samjhā.ūñ
mujhe tum se mohabbat hai
maiñ duuñ tum ko misāl aisī
jise tum sun ke barjasta
kaho āmannā saddaqnā
suno
hai kaun sī hastī
jo tum ko jaañ se pyārī hai
ki jis kī ziist kā pal pal
tumheñ pe vaarī vaarī hai
duā karte hue shab shab
sadā jis ne guzārī hai
ye sach hai vo to maañ hī hai
bas itnā jaan lo logo
ki us maañ se kahīñ ziyāda
mujhe tum se mohabbat hai
KHuda kahta hai bandon se
mujhe tum se mohabbat hai
tumhaari shah-e-rag se bhi
main ziyaada pas rahta hun
tumhein main kaise samjhaun
mujhe tum se mohabbat hai
main dun tum ko misal aisi
jise tum sun ke barjasta
kaho aamanna saddaqna
suno
hai kaun si hasti
jo tum ko jaan se pyari hai
ki jis ki zist ka pal pal
tumhein pe wari wari hai
dua karte hue shab shab
sada jis ne guzari hai
ye sach hai wo to man hi hai
bas itna jaan lo logo
ki us man se kahin ziyaada
mujhe tum se mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.