mujhe wirsa nahin mila
merī maañ ko taale lagāne kī aadat nahīñ thī
us ke trunk bhī khule rahte the almāriyāñ bhī
use mohabbat bhī vāfar milī thī tauqīr bhī
use saheliyāñ banāne kī bhī ijāzat thī aur hañsne kī bhī
vo ġham baañT lene meñ bhī āzād thī aur ḳhushiyāñ taqsīm karne meñ bhī
use bahut sarāhā jaatā thā aur chāhā bhī
use vaqār bhī diyā gayā thā iḳhtiyār bhī
use taale lagāne kī na aadat thī na zarūrat
us kā haath bhī khulā thā aur dil bhī
us kī beTī har roz taale ḳharīdtī hai
jagah jagah lagātī hai
us ke paas señtne aur chhupāne ko bahut kuchh hai
shādī ke agle hī roz
us ne apne pindār kī kirchiyāñ sameT kar darāz meñ rakkhīñ
izzat-e-nafs ke TukḌe almārī meñ chhupā.e
apne vaqār kī uḌtī dhajjiyāñ sameT kar trunk meñ Dālīñ
har jagah taalā lagānā paḌā
use na saheliyāñ banāne kī ijāzat hai na hañsne kī
us ke laboñ par qufl zarūrī hai
vo na kisī kā ġham baañT saktī hai na ḳhushiyāñ
use na vaqār diyā gayā hai na iḳhtiyār
us ke haath bhī bañdhe hue haiñ paañv bhī
koī kisī trunk meñ na dekh le
kisī darāz meñ na jhāñk le
koī āñkhoñ meñ na dekh le
koī dil meñ na jhāñk le
taale lagānā us kī zarūrat bhī hai majbūrī bhī
meri man ko tale lagane ki aadat nahin thi
us ke trunk bhi khule rahte the almariyan bhi
use mohabbat bhi wafar mili thi tauqir bhi
use saheliyan banane ki bhi ijazat thi aur hansne ki bhi
wo gham banT lene mein bhi aazad thi aur KHushiyan taqsim karne mein bhi
use bahut saraha jata tha aur chaha bhi
use waqar bhi diya gaya tha iKHtiyar bhi
use tale lagane ki na aadat thi na zarurat
us ka hath bhi khula tha aur dil bhi
us ki beTi har roz tale KHaridti hai
jagah jagah lagati hai
us ke pas sentne aur chhupane ko bahut kuchh hai
shadi ke agle hi roz
us ne apne pindar ki kirchiyan sameT kar daraaz mein rakkhin
izzat-e-nafs ke TukDe almari mein chhupae
apne waqar ki uDti dhajjiyan sameT kar trunk mein Dalin
har jagah tala lagana paDa
use na saheliyan banane ki ijazat hai na hansne ki
us ke labon par qufl zaruri hai
wo na kisi ka gham banT sakti hai na KHushiyan
use na waqar diya gaya hai na iKHtiyar
us ke hath bhi bandhe hue hain panw bhi
koi kisi trunk mein na dekh le
kisi daraaz mein na jhank le
koi aankhon mein na dekh le
koi dil mein na jhank le
tale lagana us ki zarurat bhi hai majburi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.