mujhe wo nazm likhni hai
mujhe vo nazm likhnī hai
ki har andāz-e-mausīqī se dohrāyā karūñ jis ko
magar uktā na jā.ūñ baar baar apne hī gaane se
yuuñ hī bas zindagī ke saaz par gaayā karūñ jis ko
magar ghabrā na jā.ūñ zindagānī ke fasāne se
mujhe vo nazm likhnī hai
ki jis meñ zohra-o-nāhīd sab raqsāñ to hoñ lekin
kabhī mazdūr ke andoh-gīñ ruḳhsār bhī dekhūñ
hazāroñ raqs-hā-e-dil-nashīñ pinhāñ to hoñ lekin
kabhī talvār kī haibat-fazā jhankār bhī dekhūñ
mujhe vo nazm likhnī hai
ki jis ko maut kī āvāz se nafrat to ho lekin
payām-e-zindagī kuchh hausla-sāmāñ bhī hotā ho
bahār-e-zindagī ġhairat-dah-e-jannat to ho lekin
ġharīb insān is jannat se kuchh shādāñ bhī hotā ho
mujhe vo nazm likhnī hai
mujhe wo nazm likhni hai
ki har andaz-e-mausiqi se dohraya karun jis ko
magar ukta na jaun bar bar apne hi gane se
yun hi bas zindagi ke saz par gaya karun jis ko
magar ghabra na jaun zindagani ke fasane se
mujhe wo nazm likhni hai
ki jis mein zohra-o-nahid sab raqsan to hon lekin
kabhi mazdur ke andoh-gin ruKHsar bhi dekhun
hazaron raqs-ha-e-dil-nashin pinhan to hon lekin
kabhi talwar ki haibat-faza jhankar bhi dekhun
mujhe wo nazm likhni hai
ki jis ko maut ki aawaz se nafrat to ho lekin
payam-e-zindagi kuchh hausla-saman bhi hota ho
bahaar-e-zindagi ghairat-dah-e-jannat to ho lekin
gharib insan is jannat se kuchh shadan bhi hota ho
mujhe wo nazm likhni hai
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.