mujhe yaad hai
mujhe yaad hai tirī guftugū jo fazā meñ thī
mujhe yaad hai tirī aarzū
tirī aarzū ke qarīb hī
mirī zindagī thī khaḌī huī
mire rāste meñ har ek samt rukāvaTeñ thī aTī huī
mujhe yaad hai
vo anā-ba-dast savāl bhī
vo ḳhayāl bhī
koī hādsa jo sharīk ho to safar kaTe
ki ye dā.era to qafas hai jis kā muhīt marg-e-davām hai
mujhe zindagī kā sharār-e-jasta aziiz thā
ki maiñ dā.ere se nikal gayā
tirī aarzū se ḳhajil huuñ maiñ
mujhe apne ahd kā paas kuchh bhī nahīñ rahā
mujhe yaad hai teri guftugu jo faza mein thi
mujhe yaad hai teri aarzu
teri aarzu ke qarib hi
meri zindagi thi khaDi hui
mere raste mein har ek samt rukawaTen thi aTi hui
mujhe yaad hai
wo ana-ba-dast sawal bhi
wo KHayal bhi
koi hadsa jo sharik ho to safar kaTe
ki ye daera to qafas hai jis ka muhit marg-e-dawam hai
mujhe zindagi ka sharar-e-jasta aziz tha
ki main daere se nikal gaya
teri aarzu se KHajil hun main
mujhe apne ahd ka pas kuchh bhi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.