mukafat
adam vajūd ke mā-bain fāsla hai bahut
ye fāsla hameñ ik roz tai to karnā hai
vo kisht-e-gul ho ki ham bo.eñ raah meñ kāñTe
koī bhī fel ho par ek din to marnā hai
hamāre pīchhe haiñ vo bhī hameñ aziiz haiñ jo
isī taraf se unheñ ek din guzarnā hai
sabā-burīda bhī gul haiñ vafā guzīda bhī dil
ye baat zehn meñ rakhnī hai aur Darnā hai
kisī ne pahle lagā.e the sāya-dār shajar
inhīñ kī chhāñv meñ baiThe haiñ aaj ham aa kar
adam wajud ke ma-bain fasla hai bahut
ye fasla hamein ek roz tai to karna hai
wo kisht-e-gul ho ki hum boen rah mein kanTe
koi bhi fel ho par ek din to marna hai
hamare pichhe hain wo bhi hamein aziz hain jo
isi taraf se unhen ek din guzarna hai
saba-burida bhi gul hain wafa guzida bhi dil
ye baat zehn mein rakhni hai aur Darna hai
kisi ne pahle lagae the saya-dar shajar
inhin ki chhanw mein baiThe hain aaj hum aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.