mukafat
aao ki mai-kadoñ meñ guzāreñ tamām raat
tanhā.iyoñ meñ sohbat-e-jām-o-subū rahe
ḳhāmoshiyoñ meñ kaifiyat-e-guftugū rahe
yādoñ ke pech-o-ḳham ko sañvāreñ tamām raat
zahr-e-hayāt dil meñ utāreñ tamām raat
ye dar jo band ho to kahīñ aur uTh chaleñ
zulmat baḌhe to ātish-e-ġham tez-tar kareñ
parvāna-vār jal ke baneñ ḳhāk-e-rah-nashīñ
amboh-e-gard-bād meñ raqs sharar kareñ
uftādgī meñ ārzū-e-bāl-o-par kareñ
le jaa.eñ kis ke paas ye dāġh-e-ḳhud-āgahī
ai soz-e-hijr koī tirā rāz-dāñ nahīñ
ye shahr-e-nā-shanās ye vīrānī-e-hujūm
is qāfile meñ ahl-e-nazar kā nishāñ nahīñ
sab ajnabī haiñ koī yahāñ ham-zabāñ nahīñ
baiTheñ shafaq ke saa.e meñ ḳhūn-e-jigar piyeñ
aao ki rasm-e-ahl-e-ḳharābāt hai yahī
har ishq-e-saḳht-jāñ kī mukāfāt hai yahī
aao ki mai-kadon mein guzaren tamam raat
tanhaiyon mein sohbat-e-jam-o-subu rahe
KHamoshiyon mein kaifiyat-e-guftugu rahe
yaadon ke pech-o-KHam ko sanwaren tamam raat
zahr-e-hayat dil mein utaren tamam raat
ye dar jo band ho to kahin aur uTh chalen
zulmat baDhe to aatish-e-gham tez-tar karen
parwana-war jal ke banen KHak-e-rah-nashin
amboh-e-gard-baad mein raqs sharar karen
uftadgi mein aarzu-e-baal-o-par karen
le jaen kis ke pas ye dagh-e-KHud-agahi
ai soz-e-hijr koi tera raaz-dan nahin
ye shahr-e-na-shanas ye virani-e-hujum
is qafile mein ahl-e-nazar ka nishan nahin
sab ajnabi hain koi yahan ham-zaban nahin
baiThen shafaq ke sae mein KHun-e-jigar piyen
aao ki rasm-e-ahl-e-KHarabaat hai yahi
har ishq-e-saKHt-jaan ki mukafat hai yahi
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 341)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.